ab to ho koi kaenati ghazal
ab to ho koī kā.enātī ġhazal
yā kisī ramz ko batātī ġhazal
sub.h kī raushnī banātī huī
raat kī tīrgī se aatī ġhazal
dil se safhe pe aa nahīñ paa.ī
shaam ke baa'd se satātī ġhazal
kaash ye taare jāgte rahte
kaash ye raat gungunātī ġhazal
us kī āñkhoñ meñ dekhtā rahtā
ḳhuub se ḳhuub hotī jaatī ġhazal
ek maiñ huuñ rukā huā misra'
aur ik vo thī hādsātī ġhazal
ab to ho koi kaenati ghazal
ya kisi ramz ko batati ghazal
subh ki raushni banati hui
raat ki tirgi se aati ghazal
dil se safhe pe aa nahin pai
sham ke ba'd se satati ghazal
kash ye tare jagte rahte
kash ye raat gungunati ghazal
us ki aankhon mein dekhta rahta
KHub se KHub hoti jati ghazal
ek main hun ruka hua misra'
aur ek wo thi hadsati ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.