ab to hujum-e-yas ki kuchh intiha nahin
ab to hujūm-e-yās kī kuchh intihā nahīñ
ya.anī mujhe umiid kā bhī aasrā nahīñ
kab ham se be-diloñ pe nigāh-e-jafā nahīñ
ham ḳhuub jānte haiñ ki tū be-vafā nahīñ
ai rashk-e-parda-soz shikāyat kī jā nahīñ
vo bazm-e-nāz hai dil-e-be-mudda.ā nahīñ
dikhlā.e phir ḳhudā na vo māyūsiyoñ ke din
hotā thā ye ḳhayāl ki hai yā ḳhudā nahīñ
allah-re be-niyāzī-e-āsūdagān-e-ḳhvāb
is qurb par kisī se koī boltā nahīñ
aatī hai zarre zarre se āvāz-e-bāzgasht
phir bhī ye kah rahā hai abhī kuchh kahā nahīñ
vo ḳhud bhī dafn ho ga.ī ahl-e-vafā ke saath
be-kār DhūñDhtā hai jahāñ meñ vafā nahīñ
hai jalva-rez bazm-e-tasavvur jamāl-e-yār
ai shauq-e-dīd ab ye taġhāful ravā nahīñ
sadqe tire karam ke na de zahmat-e-savāl
kashkol hai faqīr kā dast-e-duā nahīñ
mahrūmiyoñ se zauq hai majbūriyoñ se ishq
maiñ kāmyāb huuñ ye mirā mudda.ā nahīñ
vo dīd-hā-e-shauq ki dekheñ tirā jamāl
kis kā bahisht kuchh bhī unheñ dīkhtā nahīñ
kyoñ us ke chūmte hī na me.arāj ho nasīb
'beḳhud' ḳhudā kā haath hai dast-e-duā nahīñ
ab to hujum-e-yas ki kuchh intiha nahin
yani mujhe umid ka bhi aasra nahin
kab hum se be-dilon pe nigah-e-jafa nahin
hum KHub jaante hain ki tu be-wafa nahin
ai rashk-e-parda-soz shikayat ki ja nahin
wo bazm-e-naz hai dil-e-be-muddaa nahin
dikhlae phir KHuda na wo mayusiyon ke din
hota tha ye KHayal ki hai ya KHuda nahin
allah-re be-niyazi-e-asudagan-e-KHwab
is qurb par kisi se koi bolta nahin
aati hai zarre zarre se aawaz-e-bazgasht
phir bhi ye kah raha hai abhi kuchh kaha nahin
wo KHud bhi dafn ho gai ahl-e-wafa ke sath
be-kar DhunDhta hai jahan mein wafa nahin
hai jalwa-rez bazm-e-tasawwur jamal-e-yar
ai shauq-e-did ab ye taghaful rawa nahin
sadqe tere karam ke na de zahmat-e-sawal
kashkol hai faqir ka dast-e-dua nahin
mahrumiyon se zauq hai majburiyon se ishq
main kaamyab hun ye mera muddaa nahin
wo did-ha-e-shauq ki dekhen tera jamal
kis ka bahisht kuchh bhi unhen dikhta nahin
kyon us ke chumte hi na mearaj ho nasib
'beKHud' KHuda ka hath hai dast-e-dua nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.