ab to jine ki koi aas nahin
ab to jiine kī koī aas nahīñ
terī yādeñ bhī mere paas nahīñ
siikh lete haiñ vo fan-e-ulfat
dair meñ ishq kā class nahīñ
dekh luuñ terī nargisī āñkheñ
aur koī bhī mujh ko pyaas nahīñ
pī rahā huuñ maiñ ashk-e-ġham-e-sāqī
mai se labrez ye gilās nahīñ
jab se mujh se bichhaḌ gayā koī
zindagī aa.ī mujh ko raas nahīñ
sahn-e-gulshan ke phuul sharmā.e
koī bhī tujh sā ḳhush-libās nahīñ
jo thā qismat meñ vo nazar aayā
ġham meñ bhī rah ke maiñ udaas nahīñ
ab to jine ki koi aas nahin
teri yaaden bhi mere pas nahin
sikh lete hain wo fan-e-ulfat
dair mein ishq ka class nahin
dekh lun teri nargisi aankhen
aur koi bhi mujh ko pyas nahin
pi raha hun main ashk-e-gham-e-saqi
mai se labrez ye gilas nahin
jab se mujh se bichhaD gaya koi
zindagi aai mujh ko ras nahin
sahn-e-gulshan ke phul sharmae
koi bhi tujh sa KHush-libas nahin
jo tha qismat mein wo nazar aaya
gham mein bhi rah ke main udas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.