ab to jine ki koi rah nahin
ab to jiine kī koī raah nahīñ
apne hī shahr meñ panāh nahīñ
jānte sab haiñ mere qātil ko
phir bhī merā koī gavāh nahīñ
ek vo haiñ ki har jafā hai ravā
ek ham haiñ ki izn-e-āh nahīñ
bhaa.ī bhaa.ī kā ho gayā dushman
ab kisī se bhī rasm-o-rāh nahīñ
band kar do adālatoñ kī kitāb
ab koī shai yahāñ gunāh nahīñ
bad-nasībī kī intihā hai 'umar'
raushnī hai magar nigāh nahīñ
ab to jine ki koi rah nahin
apne hi shahr mein panah nahin
jaante sab hain mere qatil ko
phir bhi mera koi gawah nahin
ek wo hain ki har jafa hai rawa
ek hum hain ki izn-e-ah nahin
bhai bhai ka ho gaya dushman
ab kisi se bhi rasm-o-rah nahin
band kar do adalaton ki kitab
ab koi shai yahan gunah nahin
bad-nasibi ki intiha hai 'umar'
raushni hai magar nigah nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.