ab to KHuda se Dar jao
ab to ḳhudā se Dar jaao
pyār-mohabbat kar jaao
kyoñ phirte ho āvāra
ab to ḳhudārā ghar jaao
kartā hai ye ishq taqāzā
apnī jaañ se guzar jaao
āḳhir us ne kah hī Daalā
merī balā se mar jaao
chaar dinoñ kī duniyā hai ye
kaam achchhe kuchh kar jaao
sahrā meñ haiñ log piyāse
paanī le kar thar jaao
vaqt tujhe samjhātā hai ye
ab bhī yaar sudhar jaao
ḳhair ko hī phailāo 'sāġhar'
mat phailā ke shar jaao
ab to KHuda se Dar jao
pyar-mohabbat kar jao
kyon phirte ho aawara
ab to KHudara ghar jao
karta hai ye ishq taqaza
apni jaan se guzar jao
aaKHir us ne kah hi Dala
meri bala se mar jao
chaar dinon ki duniya hai ye
kaam achchhe kuchh kar jao
sahra mein hain log piyase
pani le kar thar jao
waqt tujhe samjhata hai ye
ab bhi yar sudhar jao
KHair ko hi phailao 'saghar'
mat phaila ke shar jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.