ab to mujhko man ke dushman
ab to mujh ko maan ke dushman
dost bane haiñ jaan ke dushman
gaañv meñ bhī haiñ shahroñ meñ bhī
har sū haiñ insān ke dushman
dushman hai jo insānoñ kā
ham haiñ us haivān ke dushman
mere bhī haiñ dushman vo log
jo haiñ hindostān ke dushman
aap ke apne haiñ ālī-jāh
ġhair nahīñ sultān ke dushman
galiyoñ galiyoñ zulfeñ khole
phirte haiñ īmān ke dushman
bojh kamāl 'anvar' haiñ ghar par
āñgan aur dālān ke dushman
ab to mujh ko man ke dushman
dost bane hain jaan ke dushman
ganw mein bhi hain shahron mein bhi
har su hain insan ke dushman
dushman hai jo insanon ka
hum hain us haiwan ke dushman
mere bhi hain dushman wo log
jo hain hindostan ke dushman
aap ke apne hain aali-jah
ghair nahin sultan ke dushman
galiyon galiyon zulfen khole
phirte hain iman ke dushman
bojh kamal 'anwar' hain ghar par
aangan aur dalan ke dushman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.