ab to panchhi bhi ghar nahin aate
ab to panchhī bhī ghar nahīñ aate
aane vaale idhar nahīñ aate
kuchh bakheḌoñ se is qadar rūThe
paaoñ aate haiñ sar nahīñ aate
sach yahī hai ki dukh jatāne ko
log aate haiñ par nahīñ aate
desh duniyā kī baat karte haiñ
aap is baat par nahīñ aate
vaqt ke saath uḌ ga.e panchhī
phir kabhī lauT kar nahīñ aate
baat karne ko baat karte haiñ
baat karne magar nahīñ aate
ab to panchhi bhi ghar nahin aate
aane wale idhar nahin aate
kuchh bakheDon se is qadar ruThe
paon aate hain sar nahin aate
sach yahi hai ki dukh jatane ko
log aate hain par nahin aate
desh duniya ki baat karte hain
aap is baat par nahin aate
waqt ke sath uD gae panchhi
phir kabhi lauT kar nahin aate
baat karne ko baat karte hain
baat karne magar nahin aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.