ab to qismat mein apna ghar kar de
ab to qismat meñ apnā ghar kar de
mujh pe rahmat kī ik nazar kar de
jis se manzil maiñ apnī pā jā.ūñ
ab muqaddar meñ vo safar kar de
hogā ham par tirā karam yā-rab
jholiyāñ aas kī agar bhar de
jin meñ terī sanā maiñ kartī huuñ
mere ash.ār vo amar kar de
jin kī nazroñ meñ 'gul' khaTaktī hai
un kī nazroñ meñ mo'atabar kar de
ab to qismat mein apna ghar kar de
mujh pe rahmat ki ek nazar kar de
jis se manzil main apni pa jaun
ab muqaddar mein wo safar kar de
hoga hum par tera karam ya-rab
jholiyan aas ki agar bhar de
jin mein teri sana main karti hun
mere ashaar wo amar kar de
jin ki nazron mein 'gul' khaTakti hai
un ki nazron mein mo'atabar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.