ab to ruTh jaane ka waqt hi nahin milta
ab to ruuTh jaane kā vaqt hī nahīñ miltā
tujh ko āzmāne kā vaqt hī nahīñ miltā
so chuke haiñ jo armāñ yaas ke shabistāñ meñ
ab unheñ jagāne kā vaqt hī nahīñ miltā
kis tarah balā.eñ ab tujh ko diid kī ḳhātir
rāsta sajāne kā vaqt hī nahīñ miltā
aarzū kī jo duniyā kho ga.ī hai rāhoñ meñ
us ko DhūñD laane kā vaqt hī nahīñ miltā
yuuñ taras ga.iiñ āñkheñ ḳhud ko dekh lene ko
aa.ina dikhāne kā vaqt hī nahīñ miltā
vaqt ke taqāze haiñ mere ḳhushk hoñToñ ko
giit gungunāne kā vaqt hī nahīñ miltā
un tumhārī yādoñ kī raushnī ġhanīmat hai
ab diye jalāne kā vaqt hī nahīñ miltā
ab to ruTh jaane ka waqt hi nahin milta
tujh ko aazmane ka waqt hi nahin milta
so chuke hain jo arman yas ke shabistan mein
ab unhen jagane ka waqt hi nahin milta
kis tarah balaen ab tujh ko did ki KHatir
rasta sajaane ka waqt hi nahin milta
aarzu ki jo duniya kho gai hai rahon mein
us ko DhunD lane ka waqt hi nahin milta
yun taras gain aankhen KHud ko dekh lene ko
aaina dikhane ka waqt hi nahin milta
waqt ke taqaze hain mere KHushk honTon ko
git gungunane ka waqt hi nahin milta
un tumhaari yaadon ki raushni ghanimat hai
ab diye jalane ka waqt hi nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.