ab to wo bhi mujhko talqin-e-shakebai kare
ab to vo bhī mujh ko talqīn-e-shakebā.ī kare
koī kis se shikva-e-āshob-e-tanhā.ī kare
guftugū sab se ba-andāz-e-pazīrā.ī kare
aur sau sau tarah mujh se hīla-ārā.ī kare
kyā kare vo bhī ki dastūr-e-zamāna hai yahī
be-ruḳhī apnoñ se ġhairoñ se shanāsā.ī kare
kyoñ hamārī chāra-jūī ke liye aa.e koī
kis ko fursat hai ki taklīf-e-masīhā.ī kare
phir usī ku-e-malāmat kī tamanna dil meñ hai
aa.e ab koī hamārī himmat-afzā.ī kare
kyā milā fankār ko sang-e-malāmat ke sivā
kyoñ lahū dil kā jalā.e ḳhāma-farsā.ī kare
ab to wo bhi mujh ko talqin-e-shakebai kare
koi kis se shikwa-e-ashob-e-tanhai kare
guftugu sab se ba-andaz-e-pazirai kare
aur sau sau tarah mujh se hila-arai kare
kya kare wo bhi ki dastur-e-zamana hai yahi
be-ruKHi apnon se ghairon se shanasai kare
kyon hamari chaara-jui ke liye aae koi
kis ko fursat hai ki taklif-e-masihai kare
phir usi ku-e-malamat ki tamanna dil mein hai
aae ab koi hamari himmat-afzai kare
kya mila fankar ko sang-e-malamat ke siwa
kyon lahu dil ka jalae KHama-farsai kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.