ab to ye safar apna aasman se aage hai
ab to ye safar apnā āsmāñ se aage hai
marhala haqīqat kā ab gumāñ se aage hai
jis sakūñ kī chāhat hai vo yahāñ nahīñ mumkin
kyūñki apnī manzil hī is jahāñ se aage hai
guftugū hamārī ab kyā koī samajh paa.e
fikr hī hamārī jab har bayāñ se aage hai
itnā mohtaram koī aur hai zamāne meñ
is jahān meñ rishta koī maañ se aage hai
DhūñDhtī huuñ maiñ jis ko vo mujhe mile kaise
ḳhatm hai jahāñ rasta vo vahāñ se aage hai
ab to ye safar apna aasman se aage hai
marhala haqiqat ka ab guman se aage hai
jis sakun ki chahat hai wo yahan nahin mumkin
kyunki apni manzil hi is jahan se aage hai
guftugu hamari ab kya koi samajh pae
fikr hi hamari jab har bayan se aage hai
itna mohtaram koi aur hai zamane mein
is jahan mein rishta koi man se aage hai
DhunDhti hun main jis ko wo mujhe mile kaise
KHatm hai jahan rasta wo wahan se aage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.