ab to ye silsila musalsal hai
ab to ye silsila musalsal hai
aañkh sūkhī to dil meñ jal-thal hai
ābdīda hī lauTnā hai aur
jāntā huuñ ki aage daldal hai
ik tumhāre sukūt ke sadqe
har taraf ḳhāmushī kī halchal hai
koī ulfat talab nahīñ tum se
ādatan dil hamārā bekal hai
go ki mātam nahīñ kiyā ham ne
varna jo ho rahā hai karbal hai
raqs-e-vajdī kī asl jā pyāre
kū-e-jānāñ nahīñ hai maqtal hai
aap sahrā meñ vahshateñ DhūñDeñ
merā kamra hī merā jangal hai
ab to ye silsila musalsal hai
aankh sukhi to dil mein jal-thal hai
aabdida hi lauTna hai aur
jaanta hun ki aage daldal hai
ek tumhaare sukut ke sadqe
har taraf KHamushi ki halchal hai
koi ulfat talab nahin tum se
aadatan dil hamara bekal hai
go ki matam nahin kiya hum ne
warna jo ho raha hai karbal hai
raqs-e-wajdi ki asl ja pyare
ku-e-jaanan nahin hai maqtal hai
aap sahra mein wahshaten DhunDen
mera kamra hi mera jangal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.