ab to ye soch ke bhi dil mera ghabraata hai
ab to ye soch ke bhī dil mirā ghabrātā hai
sub.h kā bhūlā huā shaam ko ghar aatā hai
ek ik karke bujhe jaate haiñ raḳhshanda nujūm
ek tū hai jo ba-har-samt nazar aatā hai
ab tirā ḳhvāb bhī ik paikar-e-sīmīñ kī tarah
āsmānoñ se mire dil meñ utar aatā hai
lazzat-e-sañg kī ḳhātir hī bayābāñ se koī
chhoḌ kar baaġh sar-e-rāh guzar aatā hai
dil kī dahlīz se jaatā hai jo ik marmarīñ jism
har taraf ghuum ke bā-dīda-e-tar aatā hai
jism thak kar bhī nahīñ raah meñ ruktā pal bhar
dil magar us ke shabistāñ meñ Thahar aatā hai
ab to ye soch ke bhi dil mera ghabraata hai
subh ka bhula hua sham ko ghar aata hai
ek ek karke bujhe jate hain raKHshanda nujum
ek tu hai jo ba-har-samt nazar aata hai
ab tera KHwab bhi ek paikar-e-simin ki tarah
aasmanon se mere dil mein utar aata hai
lazzat-e-sang ki KHatir hi bayaban se koi
chhoD kar bagh sar-e-rah guzar aata hai
dil ki dahliz se jata hai jo ek marmarin jism
har taraf ghum ke ba-dida-e-tar aata hai
jism thak kar bhi nahin rah mein rukta pal bhar
dil magar us ke shabistan mein Thahar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.