ab tujhse apne dil ko lagane ka faeda
ab tujh se apne dil ko lagāne kā fā.eda
yādoñ ko terī dil meñ basāne kā fā.eda
hañs hañs ke aañsū apne chhupāne kā fā.eda
ahl-e-jahāñ ke dil ko jalāne kā fā.eda
kah to diyā hai maiñ nahīñ ā.ūñgī phir kabhī
āñkhoñ ko rāste meñ bichhāne kā fā.eda
tujh ko pasand mahfil-e-aish-o-nishāt hai
ġham ke fasāne tujh ko sunāne kā fā.eda
kahtā hai vo ki chāhateñ miTtī nahīñ kabhī
dil se 'shagufta' naam miTāne kā fā.eda
ab tujh se apne dil ko lagane ka faeda
yaadon ko teri dil mein basane ka faeda
hans hans ke aansu apne chhupane ka faeda
ahl-e-jahan ke dil ko jalane ka faeda
kah to diya hai main nahin aaungi phir kabhi
aankhon ko raste mein bichhane ka faeda
tujh ko pasand mahfil-e-aish-o-nishat hai
gham ke fasane tujh ko sunane ka faeda
kahta hai wo ki chahaten miTti nahin kabhi
dil se 'shagufta' nam miTane ka faeda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.