ab tujhe hai na iKHtiyar mujhe
ab tujhe hai na iḳhtiyār mujhe
zindagī huuñ tirī guzār mujhe
raas aa.ī tirī udāsī tujhe
aa gayā terā e.atibār mujhe
pairahan huuñ tirī udāsī kā
is tarah kar na taar taar mujhe
ham-safar to palaT gayā lekin
rāsta de gayā ġhubār mujhe
lamha lamha basar huī huuñ maiñ
ab kisī taur kar shumār mujhe
ab tujhe hai na iKHtiyar mujhe
zindagi hun teri guzar mujhe
ras aai teri udasi tujhe
aa gaya tera eatibar mujhe
pairahan hun teri udasi ka
is tarah kar na tar tar mujhe
ham-safar to palaT gaya lekin
rasta de gaya ghubar mujhe
lamha lamha basar hui hun main
ab kisi taur kar shumar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.