ab tumhaara gham mere dil se bhula sakta hai kaun
ab tumhaara gham mere dil se bhula sakta hai kaun
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
ab tumhārā ġham mire dil se bhulā saktā hai kaun
jo tumhārā hai use apnā banā saktā hai kaun
yā to dīvāna hañse yā tum jise taufīq do
varna is duniyā meñ rah kar muskurā saktā hai kaun
ab to dil ghabrā gayā hai shiddat-e-ālām se
tum batāo abr-e-rahmat ban ke chhā saktā hai kaun
ziist se ummīd vābasta hai un ke qurb kī
varna is bār-e-amānat ko uThā saktā hai kaun
vāqif-e-anjām-e-ulfat the ham is ke bāvajūd
vo fareb-e-dostī khāyā hai khā saktā hai kaun
jab karam hotā hai mil jaate haiñ koh-o-dasht meñ
dair-o-ka.aba meñ bhī varna un ko pā saktā hai kaun
ishtiyāq-e-dīd shāyad kar rahā thā rahbarī
kis tarah ham aa.e manzil tak batā saktā hai kaun
ham ne āñkheñ band karke dil meñ dekhā hai tumheñ
sāmne aao to tāb-e-dīd lā saktā hai kaun
mai ho yā mastī ba-qadr-e-zarf miltī hai 'shifā'
aur apne zarf ko un se chhupā saktā hai kaun
ab tumhaara gham mere dil se bhula sakta hai kaun
jo tumhaara hai use apna bana sakta hai kaun
ya to diwana hanse ya tum jise taufiq do
warna is duniya mein rah kar muskura sakta hai kaun
ab to dil ghabra gaya hai shiddat-e-alam se
tum batao abr-e-rahmat ban ke chha sakta hai kaun
zist se ummid wabasta hai un ke qurb ki
warna is bar-e-amanat ko uTha sakta hai kaun
waqif-e-anjam-e-ulfat the hum is ke bawajud
wo fareb-e-dosti khaya hai kha sakta hai kaun
jab karam hota hai mil jate hain koh-o-dasht mein
dair-o-kaba mein bhi warna un ko pa sakta hai kaun
ishtiyaq-e-did shayad kar raha tha rahbari
kis tarah hum aae manzil tak bata sakta hai kaun
hum ne aankhen band karke dil mein dekha hai tumhein
samne aao to tab-e-did la sakta hai kaun
mai ho ya masti ba-qadr-e-zarf milti hai 'shifa'
aur apne zarf ko un se chhupa sakta hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.