ab tumhaare KHwab bhi mujhko saza dene lage

ab tumhaare KHwab bhi mujhko saza dene lage
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
ab tumhāre ḳhvāb bhī mujh ko sazā dene lage
maiñ ne kyā chāhā thā mujh ko kyā sila dene lage
āhaTeñ thiiñ narm lekin apnī āñkheñ khul ga.iiñ
jab nasīm-e-sub.h ko ġhunche sadā dene lage
lamha lamha mujh ko samjhāte rahe jo raat bhar
sub.h ghar ke bām-o-dar un ko du'ā dene lage
lījiye barq-e-tabassum kā asar hone lagā
phuul kyā patthar bhī apne ġham bhulā dene lage
kyā nahīñ hai aaj bhī lafzoñ ke shahroñ meñ 'adīb'
jab bhī guzrā vo mujhe tohfa nayā dene lage
ab tumhaare KHwab bhi mujh ko saza dene lage
main ne kya chaha tha mujh ko kya sila dene lage
aahaTen thin narm lekin apni aankhen khul gain
jab nasim-e-subh ko ghunche sada dene lage
lamha lamha mujh ko samjhate rahe jo raat bhar
subh ghar ke baam-o-dar un ko du'a dene lage
lijiye barq-e-tabassum ka asar hone laga
phul kya patthar bhi apne gham bhula dene lage
kya nahin hai aaj bhi lafzon ke shahron mein 'adib'
jab bhi guzra wo mujhe tohfa naya dene lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.