ab tumhi jaano ki kaise tai karoge raste
ab tumhī jaano ki kaise tai karoge rāste
qāfile vaale to kab kā chhoḌ kar jā bhī chuke
mujh ko apne bad-numā kirdār kā hai e'tirāf
aap apnī pāk-bāzī ke DhinDhore pīTiye
shahr bhar meñ aaj vo dekhā gayā hai jā-ba-jā
aur ham ik raat pahle shahr meñ maujūd the
ḳhuub hai ārā.ish-o-zebā.ish bazm-e-ḳhayāl
sochne kuchh baiThiye to sochte rah jā.iye
mujh ko dekhe se jo aa.e besh-qīmat hai mujhe
aap kī vo muskurāhaT aap ke alfāz se
mujh ko kahnā bhī nahīñ paḌtā ki bāñheñ khol do
ḳhud lipaT jaatā hai aa kar mujh se sharmā.e hue
aap ke ḳhvāb apnī āñkhoñ meñ sajā le shauq se
banda-e-nāchīz ko itnī ijāzat baḳhshiye
bhūlne kī ab yahī 'gulfām' ik sūrat rahī
jaam hoñToñ se lagā kar raqs meñ kho jā.iye
ab tumhi jaano ki kaise tai karoge raste
qafile wale to kab ka chhoD kar ja bhi chuke
mujh ko apne bad-numa kirdar ka hai e'tiraf
aap apni pak-bazi ke DhinDhore piTiye
shahr bhar mein aaj wo dekha gaya hai ja-ba-ja
aur hum ek raat pahle shahr mein maujud the
KHub hai aaraish-o-zebaish bazm-e-KHayal
sochne kuchh baiThiye to sochte rah jaiye
mujh ko dekhe se jo aae besh-qimat hai mujhe
aap ki wo muskurahaT aap ke alfaz se
mujh ko kahna bhi nahin paDta ki banhen khol do
KHud lipaT jata hai aa kar mujh se sharmae hue
aap ke KHwab apni aankhon mein saja le shauq se
banda-e-nachiz ko itni ijazat baKHshiye
bhulne ki ab yahi 'gulfam' ek surat rahi
jam honTon se laga kar raqs mein kho jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.