ab tu kichaD uTha aur fasilon pe mal
ab tū kīchaḌ uThā aur fasīloñ pe mal
is se baḌh ke tirī istitā.at nahīñ
jā ke pahle zarā shā.irī ko samajh
ye atā hai mirī jaañ siyāsat nahīñ
tum ye rutbe ye shohrat sabhī baañT lo
jaao jaao mujhe un kī hasrat nahīñ
aadmī meñ koī gun hoñ phir baat hai
naam rakhne meñ koī sa.ādat nahīñ
kyā uThā.eñge bār-e-jahāñ vo bhalā
jin meñ misra uThāne kī tāqat nahīñ
ab tu kichaD uTha aur fasilon pe mal
is se baDh ke teri istitaat nahin
ja ke pahle zara shairi ko samajh
ye ata hai meri jaan siyasat nahin
tum ye rutbe ye shohrat sabhi banT lo
jao jao mujhe un ki hasrat nahin
aadmi mein koi gun hon phir baat hai
nam rakhne mein koi saadat nahin
kya uThaenge bar-e-jahan wo bhala
jin mein misra uThane ki taqat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.