ab ujaḌne ke ham na basne ke
kaT ga.e jaal saare phañsne ke
tajraboñ meñ na zahr zaa.e.a kar
siikh ādāb pahle Dasne ke
us se kahiyo jo ḳhud meñ Duubā hai
tujh pe bādal nahīñ barasne ke
milnā-julnā abhī bhī hai lekin
haath se haath ab na masne ke
naqsh-e-sānī haiñ jhilmilāte sarāb
naqsh-e-avval the paaoñ dhañsne ke
aisā vīrāñ huā hai dil is baar
ab ke imkāñ nahīñ haiñ basne ke
rūThe bachchoñ se chheḌ kartā huuñ
DhūñDhtā huuñ bahāne hañsne ke
ab ujaDne ke hum na basne ke
kaT gae jal sare phansne ke
tajrabon mein na zahr zaea kar
sikh aadab pahle Dasne ke
us se kahiyo jo KHud mein Duba hai
tujh pe baadal nahin barasne ke
milna-julna abhi bhi hai lekin
hath se hath ab na masne ke
naqsh-e-sani hain jhilmilate sarab
naqsh-e-awwal the paon dhansne ke
aisa viran hua hai dil is bar
ab ke imkan nahin hain basne ke
ruThe bachchon se chheD karta hun
DhunDhta hun bahane hansne ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.