ab un ka gham bhi hamein dil-kusha sa lagta hai
ab un kā ġham bhī hameñ dil-kushā sā lagtā hai
ye ajnabī to hameñ āshnā sā lagtā hai
fareb-ḳhurda-e-rasm-e-vafā sā lagtā hai
ye zaḳhm-e-dil ki jo hañstā huā sā lagtā hai
ḳhud apne dil se tarāshā hai jo sanam maiñ ne
ḳhudā nahīñ hai vo lekin ḳhudā sā lagtā hai
milā hai jis ko mirī bandagī kā husn-e-ḳhulūs
vo naqsh-e-sajda tire naqsh-e-pā sā lagtā hai
kabhī kabhī tirī yādoñ kī anjuman meñ ye dil
ḳhud apne aap se rūThā huā sā lagtā hai
ruḳh-e-hayāt ye halkā sā ik tabassum bhī
ġham-e-hayāt kā maarā huā sā lagtā hai
badal ga.ī hai ye kis kī nazar ḳhudā jaane
ruḳh-e-hayāt badaltā huā sā lagtā hai
ye dāġh-e-dil haiñ ki ai 'badr' hasratoñ ke sanam
ḳhudā kā ghar hai magar but-kada sā lagtā hai
ab un ka gham bhi hamein dil-kusha sa lagta hai
ye ajnabi to hamein aashna sa lagta hai
fareb-KHurda-e-rasm-e-wafa sa lagta hai
ye zaKHm-e-dil ki jo hansta hua sa lagta hai
KHud apne dil se tarasha hai jo sanam main ne
KHuda nahin hai wo lekin KHuda sa lagta hai
mila hai jis ko meri bandagi ka husn-e-KHulus
wo naqsh-e-sajda tere naqsh-e-pa sa lagta hai
kabhi kabhi teri yaadon ki anjuman mein ye dil
KHud apne aap se ruTha hua sa lagta hai
ruKH-e-hayat ye halka sa ek tabassum bhi
gham-e-hayat ka mara hua sa lagta hai
badal gai hai ye kis ki nazar KHuda jaane
ruKH-e-hayat badalta hua sa lagta hai
ye dagh-e-dil hain ki ai 'badr' hasraton ke sanam
KHuda ka ghar hai magar but-kada sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.