ab un pe meri aah ka hoga asar kahan
ab un pe merī aah kā hogā asar kahāñ
kyā haal hai mirā unheñ is kī ḳhabar kahāñ
ab un ke dil meñ ham se faqīroñ kā ghar kahāñ
bas dekhiye ke phirte haiñ ham dar-ba-dar kahāñ
ik mushkiloñ kī dhuup se merā hai sāmnā
āsāniyoñ kā raah meñ koī shajar kahāñ
muddat huī ke iid mayassar nahīñ hameñ
aayā hai chāñd ham ko hamārā nazar kahāñ
bas ai tabīb nusḳha-e-dīdār likh mujhe
in marhamoñ se bhartā hai zaḳhm-e-jigar kahāñ
har aan nafratoñ kā hai pahrā galī galī
ab ham kareñ talāsh mohabbat-nagar kahāñ
har moḌ par hai ek musībat se sāmnā
ab jaane ḳhatm hogā mirā ye safar kahāñ
tārīk ho chukī yahāñ 'haidar' kī zindagī
us ko nasīb ishq ke shams-o-qamar kahāñ
ab un pe meri aah ka hoga asar kahan
kya haal hai mera unhen is ki KHabar kahan
ab un ke dil mein hum se faqiron ka ghar kahan
bas dekhiye ke phirte hain hum dar-ba-dar kahan
ek mushkilon ki dhup se mera hai samna
aasaniyon ka rah mein koi shajar kahan
muddat hui ke id mayassar nahin hamein
aaya hai chand hum ko hamara nazar kahan
bas ai tabib nusKHa-e-didar likh mujhe
in marhamon se bharta hai zaKHm-e-jigar kahan
har aan nafraton ka hai pahra gali gali
ab hum karen talash mohabbat-nagar kahan
har moD par hai ek musibat se samna
ab jaane KHatm hoga mera ye safar kahan
tarik ho chuki yahan 'haidar' ki zindagi
us ko nasib ishq ke shams-o-qamar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.