ab us ka wasl mahnga chal raha hai
ab us kā vasl mahñgā chal rahā hai
to bas yādoñ pe ḳharcha chal rahā hai
mohabbat do-qadam par thak ga.ī thī
magar ye hijr kitnā chal rahā hai
bahut hī dhīre dhīre chal rahe ho
tumhāre zehn meñ kyā chal rahā hai
bas ik hī dost hai duniyā meñ apnā
magar us se bhī jhagḌā chal rahā hai
diloñ ko toḌne kā fan hai tum meñ
tumhārā kaam kaisā chal rahā hai
sabhī yāroñ ke maqte ho chuke haiñ
hamārā pahlā misra chal rahā hai
ye 'tābish' kyā hai bas ik khoTā sikka
magar ye khoTā sikka chal rahā hai
ab us ka wasl mahnga chal raha hai
to bas yaadon pe KHarcha chal raha hai
mohabbat do-qadam par thak gai thi
magar ye hijr kitna chal raha hai
bahut hi dhire dhire chal rahe ho
tumhaare zehn mein kya chal raha hai
bas ek hi dost hai duniya mein apna
magar us se bhi jhagDa chal raha hai
dilon ko toDne ka fan hai tum mein
tumhaara kaam kaisa chal raha hai
sabhi yaron ke maqte ho chuke hain
hamara pahla misra chal raha hai
ye 'tabish' kya hai bas ek khoTa sikka
magar ye khoTa sikka chal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.