ab uske dil mein kya jaane aaya kya
ab us ke dil meñ kyā jaane aayā kyā
matlab kyā thā aur mujhe samjhāyā kyā
ūñchī-nīchī dīvāreñ haiñ chaar taraf
koī paḌosī kaisā aur ham-sāya kyā
jānī-pahchānī sī aahaT lagtī hai
dil ke vīrāne meñ koī aayā kyā
ek ghanī nīchī chhat aam ke bāġhoñ kī
mast mahaktī baur meñ dhuup aur saaya kyā
kahāñ ab is sahrā meñ huuñ mā'lūm nahīñ
maiñ ne sang-e-rāh samajh ke haTāyā kyā
itne gahre jaanā tere bas meñ nahīñ
mujh ko pata hai dariyā se tū laayā kyā
dil ā.īna ban jaa.e to bahut jaano
varna miTTī kyā miTTī kī maaya kyā
apne ghar kī dīvāreñ hī girā deñ 'zeb'
baiThe baiThe merā dil ghabrāyā kyā
ab us ke dil mein kya jaane aaya kya
matlab kya tha aur mujhe samjhaya kya
unchi-nichi diwaren hain chaar taraf
koi paDosi kaisa aur ham-saya kya
jaani-pahchani si aahaT lagti hai
dil ke virane mein koi aaya kya
ek ghani nichi chhat aam ke baghon ki
mast mahakti baur mein dhup aur saya kya
kahan ab is sahra mein hun ma'lum nahin
main ne sang-e-rah samajh ke haTaya kya
itne gahre jaana tere bas mein nahin
mujh ko pata hai dariya se tu laya kya
dil aaina ban jae to bahut jaano
warna miTTi kya miTTi ki maya kya
apne ghar ki diwaren hi gira den 'zeb'
baiThe baiThe mera dil ghabraya kya
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 52)
- Author :Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.