ab uske milne ka koi guman bhi to nahin
ab us ke milne kā koī gumān bhī to nahīñ
ki mere shahr meñ us kā makān bhī to nahīñ
sulagnā dhuup meñ hai bhīgnā hai bārish meñ
ki mere sar pe koī sā.ebān bhī to nahīñ
unhoñne pūchhā jo mujh se sabab ḳhamoshī kā
kahūñgā kyā mire muñh meñ zabān bhī to nahīñ
maiñ apne-āp se rahtā huuñ be-ta.alluq sā
nazar meñ merī koī imtihān bhī to nahīñ
ab us ke milne ka koi guman bhi to nahin
ki mere shahr mein us ka makan bhi to nahin
sulagna dhup mein hai bhigna hai barish mein
ki mere sar pe koi saeban bhi to nahin
unhonne puchha jo mujh se sabab KHamoshi ka
kahunga kya mere munh mein zaban bhi to nahin
main apne-ap se rahta hun be-talluq sa
nazar mein meri koi imtihan bhi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.