ab wafa rang-e-tamasha koi chehra na raha
ab wafa rang-e-tamasha koi chehra na raha
Iqbal Ashhar Quraishi
MORE BYIqbal Ashhar Quraishi
ab vafā rañg-e-tamāshā koī chehra na rahā
apnī āñkhoñ kī chamak par bhī bharosā na rahā
ham to aa.e the mulāqāt kareñge tujh se
ye ḳhabar kab thī ki tū apne hī jaisā na rahā
log kahte haiñ ki har chiiz samajhtī hai hameñ
maiñ bahut ḳhush huuñ ki ab koī adhūrā na rahā
us ke milne kī ḳhushī us ke bichhaḌne kā qalaq
ek gardish thī ki vo aa gayā Thahrā na rahā
us ne kāġhaz ko bhī phūloñ kī tarah chuum liyā
pesh ḳhushbū hī kareñ dūsrā tohfa na rahā
ab wafa rang-e-tamasha koi chehra na raha
apni aankhon ki chamak par bhi bharosa na raha
hum to aae the mulaqat karenge tujh se
ye KHabar kab thi ki tu apne hi jaisa na raha
log kahte hain ki har chiz samajhti hai hamein
main bahut KHush hun ki ab koi adhura na raha
us ke milne ki KHushi us ke bichhaDne ka qalaq
ek gardish thi ki wo aa gaya Thahra na raha
us ne kaghaz ko bhi phulon ki tarah chum liya
pesh KHushbu hi karen dusra tohfa na raha
- Book : Be Sada Faryaad (Ghazals) (Pg. 72)
- Author : Iqbal Ashhar Qureshi
- Publication : Fine Art Group Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.