ab wahan chal kar rahen ai dil jahan koi na ho
ab vahāñ chal kar raheñ ai dil jahāñ koī na ho
ham hoñ aur vo hoñ hamāre darmiyāñ koī na ho
ishq hai vo ishq rusvā.ī ho jis ke saath saath
ishq vo kyā ishq jis kī dāstāñ koī na ho
maiñ bhī dil vāloñ kī barbādī se vāqif huuñ magar
merī sūrat yūsuf-e-be-kārvāñ koī na ho
mehrbāñ ho jaa.e ik aalam hamāre haal par
aap jaisā dushman-e-dil mehrbāñ koī na ho
aap bhī har shaḳhs ko samjheñ agar apnā 'azīz'
aap se bhī be-sabab dāman-kashāñ koī na ho
ab wahan chal kar rahen ai dil jahan koi na ho
hum hon aur wo hon hamare darmiyan koi na ho
ishq hai wo ishq ruswai ho jis ke sath sath
ishq wo kya ishq jis ki dastan koi na ho
main bhi dil walon ki barbaadi se waqif hun magar
meri surat yusuf-e-be-karwan koi na ho
mehrban ho jae ek aalam hamare haal par
aap jaisa dushman-e-dil mehrban koi na ho
aap bhi har shaKHs ko samjhen agar apna 'aziz'
aap se bhi be-sabab daman-kashan koi na ho
- Book : Mehraab (Pg. 62)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : Maktaba Nida-e-ittiihaad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.