ab wo aaghosh-e-tasawwur se na jaane pae
ab vo āġhosh-e-tasavvur se na jaane paa.e
be-ḳhudī mujh ko kabhī hosh na aane paa.e
hosh is bazm kā parda na uThāne paa.e
aane vaalā koī aape meñ na aane paa.e
mujh pe tākīd mirā raaz na ifshā karnā
ḳhud ye koshish ki ye hargiz na chhupāne paa.e
lab pe ho zikr-e-butāñ dil meñ ho allāh allāh
jaan jaa.e magar īmān na jaane paa.e
be-ḳhudī ne tirā afsāna vahīñ chheḌ diyā
tere dīvāne ke jab hosh Thikāne paa.e
fitne barpā hoñ qayāmat uThī tūfāñ uTThe
tere dar se mujhe koī na uThāne paa.e
terī izzat kī qasam tere sitam bhī haiñ karam
tū satā ġhair mirā dil na dukhāne paa.e
shauq kahtā hai bulāne kī hai ye ḳhaas adā
vo jo kahte haiñ yahāñ koī na aane paa.e
da.avā-e-ishq-e-haqīqī to kiyā hai ai 'yās'
aarzū ġhair kī ab dil meñ na aane paa.e
ab wo aaghosh-e-tasawwur se na jaane pae
be-KHudi mujh ko kabhi hosh na aane pae
hosh is bazm ka parda na uThane pae
aane wala koi aape mein na aane pae
mujh pe takid mera raaz na ifsha karna
KHud ye koshish ki ye hargiz na chhupane pae
lab pe ho zikr-e-butan dil mein ho allah allah
jaan jae magar iman na jaane pae
be-KHudi ne tera afsana wahin chheD diya
tere diwane ke jab hosh Thikane pae
fitne barpa hon qayamat uThi tufan uTThe
tere dar se mujhe koi na uThane pae
teri izzat ki qasam tere sitam bhi hain karam
tu sata ghair mera dil na dukhane pae
shauq kahta hai bulane ki hai ye KHas ada
wo jo kahte hain yahan koi na aane pae
dawa-e-ishq-e-haqiqi to kiya hai ai 'yas'
aarzu ghair ki ab dil mein na aane pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.