ab wo aangan wo ghar na khaprelen
ab vo āñgan vo ghar na khapreleñ
peḌ panchhī na phuul aur beleñ
zindagī ham tire muhāfiz haiñ
kyoñ na phir apnī jaan par kheleñ
āsmāñ se humaktā rahtā hai
chāñd ko laao god meñ le leñ
apne ghar kī ghuTan hī behtar hai
hijratoñ kā azaab kyoñ jheleñ
vazn par hoñ ġhazal ke sab misre
pīḌhiyoñ se na utrīñ ye raileñ
kyā jarā.em kā sadd-e-bāb huā
aur ābād ho ga.iiñ jeleñ
ab to sastī hai shā.irī 'parvīn'
lagtī rahtī haiñ aa.e din seleñ
ab wo aangan wo ghar na khaprelen
peD panchhi na phul aur belen
zindagi hum tere muhafiz hain
kyon na phir apni jaan par khelen
aasman se humakta rahta hai
chand ko lao god mein le len
apne ghar ki ghuTan hi behtar hai
hijraton ka azab kyon jhelen
wazn par hon ghazal ke sab misre
piDhiyon se na utrin ye railen
kya jaraem ka sadd-e-bab hua
aur aabaad ho gain jelen
ab to sasti hai shairi 'parwin'
lagti rahti hain aae din selen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.