ab wo farmate hain kab maine dikhain aankhen
ab vo farmāte haiñ kab maiñ ne dikhā.īñ āñkheñ
aap ne muft meñ ro ro ke sujā.īñ āñkheñ
muztarib ham bhī rahe raat taḌap kar kaafī
dil bhī bechain rahā un kī jo aa.iiñ āñkheñ
husn-e-maġhrib meñ hamīñ sā.ad-o-gesū ke sivā
aur bhī kuchh nazar aayā to vo bhā.īñ āñkheñ
raat mujh mulzam-e-pā-bos ko az-rāh-e-karam
sarzanish kuchh bhī na kī ḳhud vo lajā.īñ āñkheñ
daaġh lag jā.egā dāmān-e-vafā meñ 'hasrat'
tum ne dekho jo kahīñ aur lagā.īñ āñkheñ
ab wo farmate hain kab main ne dikhain aankhen
aap ne muft mein ro ro ke sujain aankhen
muztarib hum bhi rahe raat taDap kar kafi
dil bhi bechain raha un ki jo aain aankhen
husn-e-maghrib mein hamin saad-o-gesu ke siwa
aur bhi kuchh nazar aaya to wo bhain aankhen
raat mujh mulzam-e-pa-bos ko az-rah-e-karam
sarzanish kuchh bhi na ki KHud wo lajain aankhen
dagh lag jaega daman-e-wafa mein 'hasrat'
tum ne dekho jo kahin aur lagain aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.