ab wo patthar na wo sipen na guhar pani mein
ab wo patthar na wo sipen na guhar pani mein
Khursheed Afsar Baswani
MORE BYKhursheed Afsar Baswani
ab vo patthar na vo sīpeñ na guhar paanī meñ
kyā milegā hameñ utre bhī agar paanī meñ
ab ke dariyā meñ jo Duubā hai vo ubhrā hī nahīñ
tai huā kitnī hī rūhoñ kā safar paanī meñ
jaane kyā soch ke pahle to bhare muTThī meñ
aur phir pheñk diye saare guhar paanī meñ
koī apnā na parāyā koī saaya na zamīñ
ab ke Duube haiñ bahut shahr-o-shajar paanī meñ
ġham samandar hai samandar kī koī thaah nahīñ
tū mirī maan na is tarh utar paanī meñ
kabhī us bahr-e-tunuk-āb se mil kar dekho
kaise kaise nazar aate haiñ bhañvar paanī meñ
maiñ hī bas taptī huī ret meñ Duubā 'afsar'
varna log aur bhī Duube haiñ magar paanī meñ
ab wo patthar na wo sipen na guhar pani mein
kya milega hamein utre bhi agar pani mein
ab ke dariya mein jo Duba hai wo ubhra hi nahin
tai hua kitni hi ruhon ka safar pani mein
jaane kya soch ke pahle to bhare muTThi mein
aur phir phenk diye sare guhar pani mein
koi apna na paraya koi saya na zamin
ab ke Dube hain bahut shahr-o-shajar pani mein
gham samandar hai samandar ki koi thah nahin
tu meri man na is tarh utar pani mein
kabhi us bahr-e-tunuk-ab se mil kar dekho
kaise kaise nazar aate hain bhanwar pani mein
main hi bas tapti hui ret mein Duba 'afsar'
warna log aur bhi Dube hain magar pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.