ab wo raaten aur wo baaten kahan
ab vo rāteñ aur vo bāteñ kahāñ
chorī chorī vo mulāqāteñ kahāñ
aatī jaatī har baras haiñ aaj bhī
vo magar pahlī sī barsāteñ kahāñ
har nazar par hārnā dil sau dafa
aisī pyārī ab vo haiñ māteñ kahāñ
koī ūñchā yā ki nīchā hai nahīñ
haiñ banā.ī rab ne ye zāteñ kahāñ
ek din pūchhoge tum is shahr meñ
kho ga.iiñ 'nāsir' ḳharābāteñ kahāñ
ab wo raaten aur wo baaten kahan
chori chori wo mulaqaten kahan
aati jati har baras hain aaj bhi
wo magar pahli si barsaten kahan
har nazar par haarna dil sau dafa
aisi pyari ab wo hain maten kahan
koi uncha ya ki nicha hai nahin
hain banai rab ne ye zaten kahan
ek din puchhoge tum is shahr mein
kho gain 'nasir' KHarabaaten kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.