ab wo sab kuchh kar rahe hain dosti ki aaD mein
ab vo sab kuchh kar rahe haiñ dostī kī aaḌ meñ
ġhair mumkin thā jo shāyad dushmanī kī aaḌ meñ
is qadar naḳhre na kar ai maut aa jā sāmne
kab talak chhup kar rahegī zindagī kī aaḌ meñ
aaj ik mahfil meñ jab us se nazar Takrā ga.ī
ham ne kah dī dil kī bāteñ shā.erī kī aaḌ meñ
ik salīqe se kiyā hai phuul de kar phuul ko
ishq kā iz.hār chaudah farvarī kī aaḌ meñ
pichhlī shab kā vāqi.a ab kyā batā.ūñ dostoñ
chuum aaya chāñd ko maiñ tīrgī kī aaḌ meñ
ab wo sab kuchh kar rahe hain dosti ki aaD mein
ghair mumkin tha jo shayad dushmani ki aaD mein
is qadar naKHre na kar ai maut aa ja samne
kab talak chhup kar rahegi zindagi ki aaD mein
aaj ek mahfil mein jab us se nazar Takra gai
hum ne kah di dil ki baaten shaeri ki aaD mein
ek saliqe se kiya hai phul de kar phul ko
ishq ka izhaar chaudah farwari ki aaD mein
pichhli shab ka waqia ab kya bataun doston
chum aaya chand ko main tirgi ki aaD mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.