ab wo zauq-e-tasawwuraat nahin
ab vo zauq-e-tasavvurāt nahīñ
haa.e vo din nahīñ vo raat nahīñ
un kī teġh-e-adā pe mar miTnā
aur kuchh ma.anī-e-hayāt nahīñ
hāl-e-dil pūchhte haiñ hañs hañs kar
be-sabab to ye iltifāt nahīñ
phir hai kyā chiiz kā.enāt agar
jalva-hā-e-tasavvurāt nahīñ
hai tasavvur meñ gesū-e-shab-gūñ
ḳhatm hone kī aaj raat nahīñ
aisī nāseh koī kitāb bhī hai
husn-o-ulfat kī jis meñ baat nahīñ
ab wo zauq-e-tasawwuraat nahin
hae wo din nahin wo raat nahin
un ki tegh-e-ada pe mar miTna
aur kuchh mani-e-hayat nahin
haal-e-dil puchhte hain hans hans kar
be-sabab to ye iltifat nahin
phir hai kya chiz kaenat agar
jalwa-ha-e-tasawwuraat nahin
hai tasawwur mein gesu-e-shab-gun
KHatm hone ki aaj raat nahin
aisi naseh koi kitab bhi hai
husn-o-ulfat ki jis mein baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.