ab yaad teri dard ko bahla na sakegi
ab yaad tirī dard ko bahlā na sakegī
maiñ chāhūñ bhī to mujh ko hañsī aa na sakegī
kuchh kam nahīñ ai dost bhulāne kī musībat
maanā ki mirī yaad bhī ab aa na sakegī
bedād-e-karam chāhiye ham sang-diloñ ko
ye kam-nigahī aap kī taḌpā na sakegī
bas mere hī dam tak hai ye hangāma-e-ulfat
phir gardish-e-ālam ise dohrā na sakegī
kuchh zabt-o-sukūñ chāhiye is raah meñ 'sāhir'
be-tābī-e-dil husn ko sharmā na sakegī
ab yaad teri dard ko bahla na sakegi
main chahun bhi to mujh ko hansi aa na sakegi
kuchh kam nahin ai dost bhulane ki musibat
mana ki meri yaad bhi ab aa na sakegi
bedad-e-karam chahiye hum sang-dilon ko
ye kam-nigahi aap ki taDpa na sakegi
bas mere hi dam tak hai ye hangama-e-ulfat
phir gardish-e-alam ise dohra na sakegi
kuchh zabt-o-sukun chahiye is rah mein 'sahir'
be-tabi-e-dil husn ko sharma na sakegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.