ab yahi surat-e-didar bana lete hain
ab yahī sūrat-e-dīdār banā lete haiñ
un se milne kā hasīñ ḳhvāb sajā lete haiñ
ham vahī log the har baat pe rone vaale
ham jo ashkoñ ko bhī ab raaz banā lete haiñ
ham haiñ be-rahmī-e-hālāt se vāqif phir bhī
aañkh meñ roz na.e ḳhvāb sajā lete haiñ
shahr-e-jānāñ ke sabhī log haiñ dushman mere
dekh lene ko bhī afsāna banā lete haiñ
kāsa-e-chashm ko ḳhairāt meñ aañsū de kar
dil se ye bojh udāsī kā haTā lete haiñ
zindagī dekhte rahte haiñ tujhe hairat se
aur dīvār se bas sar ko Tikā lete haiñ
ab yahi surat-e-didar bana lete hain
un se milne ka hasin KHwab saja lete hain
hum wahi log the har baat pe rone wale
hum jo ashkon ko bhi ab raaz bana lete hain
hum hain be-rahmi-e-haalat se waqif phir bhi
aankh mein roz nae KHwab saja lete hain
shahr-e-jaanan ke sabhi log hain dushman mere
dekh lene ko bhi afsana bana lete hain
kasa-e-chashm ko KHairaat mein aansu de kar
dil se ye bojh udasi ka haTa lete hain
zindagi dekhte rahte hain tujhe hairat se
aur diwar se bas sar ko Tika lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.