ab ye karobar karen
ab ye kārobār kareñ
ġhairoñ se bhī pyaar kareñ
album khol ke dekheñ aur
yādoñ ko gulzār kareñ
mar jā.egā apnī maut
dushman par kyoñ vaar kareñ
kab tak ḳhālī baiTheñ ham
mil kar zikr-e-yār kareñ
chāhat ke har jazbe kā
barjasta iz.hār kareñ
soch ke us ke baare meñ
jiinā kyoñ dushvār kareñ
nafrat shor sharābe se
ḳhāmoshī se pyaar kareñ
ab ye karobar karen
ghairon se bhi pyar karen
album khol ke dekhen aur
yaadon ko gulzar karen
mar jaega apni maut
dushman par kyon war karen
kab tak KHali baiThen hum
mil kar zikr-e-yar karen
chahat ke har jazbe ka
barjasta izhaar karen
soch ke us ke bare mein
jina kyon dushwar karen
nafrat shor sharabe se
KHamoshi se pyar karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.