ab ye mear-e-shahr-yari hai
ab ye me.ār-e-shahr-yārī hai
kaun kitnā baḌā madārī hai
ham ne raushan charāġh kar to diyā
ab havāoñ kī zimme-dārī hai
ik musalsal safar meñ rakhtā hai
ye jo andāz-e-tāza-kārī hai
kaun rahtā hai apnī had meñ yahāñ
kis ko ehsās-e-zimmedārī hai
umr bhar sar-buland rakhtā hai
ye jo andāz-e-inkisārī hai
sirf bāhar nahīñ mahāz khulā
mere andar bhī jañg jaarī hai
miT rahī hai yahāñ zabān o ġhazal
aur ġhālib kā jashn jaarī hai
ab ye mear-e-shahr-yari hai
kaun kitna baDa madari hai
hum ne raushan charagh kar to diya
ab hawaon ki zimme-dari hai
ek musalsal safar mein rakhta hai
ye jo andaz-e-taza-kari hai
kaun rahta hai apni had mein yahan
kis ko ehsas-e-zimmedari hai
umr bhar sar-buland rakhta hai
ye jo andaz-e-inkisari hai
sirf bahar nahin mahaz khula
mere andar bhi jang jari hai
miT rahi hai yahan zaban o ghazal
aur ghaalib ka jashn jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.