ab zaban KHanjar-e-qatil ki sana karti hai
ab zabāñ ḳhanjar-e-qātil kī sanā kartī hai
ham vahī karte haiñ jo ḳhalq-e-ḳhudā kartī hai
phir koī raat bujhā detī hai merī āñkheñ
phir koī sub.h darīche mire vā kartī hai
ek paimān-e-vafā ḳhāk-basar hai sar-e-shām
ḳhema ḳhālī huā tanhā.ī azā kartī hai
hū kā 'ālam hai giraftāroñ kī ābādī meñ
ham to sunte the ki zanjīr sadā kartī hai
kaisī miTTī hai ki dāman se lipaTtī hī nahīñ
kaisī maañ hai ki jo bachchoñ ko judā kartī hai
ab numūdār ho is gard se ai nāqa-savār
kab se bastī tire milne kī du'ā kartī hai
ab zaban KHanjar-e-qatil ki sana karti hai
hum wahi karte hain jo KHalq-e-KHuda karti hai
phir koi raat bujha deti hai meri aankhen
phir koi subh dariche mere wa karti hai
ek paiman-e-wafa KHak-basar hai sar-e-sham
KHema KHali hua tanhai aza karti hai
hu ka 'alam hai giraftaron ki aabaadi mein
hum to sunte the ki zanjir sada karti hai
kaisi miTTi hai ki daman se lipaTti hi nahin
kaisi man hai ki jo bachchon ko juda karti hai
ab numudar ho is gard se ai naqa-sawar
kab se basti tere milne ki du'a karti hai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 39)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.