ab zamin-o-asman ke sab kinaron se alag
ab zamīn-o-āsmāñ ke sab kināroñ se alag
gaḌ.h rahā huuñ apnī duniyā in sitāroñ se alag
gard merī uḌ rahī hai chāñd-tāroñ meñ kahīñ
tarz us ne paa.ī hai sab ḳhāksāroñ se alag
pattharoñ ko aa.ine meñ qaid karne kā hunar
raah maiñ ne ye nikālī hai hazāroñ se alag
chāñd hī ab tum ko kah kar baat ko puurā karūñ
kaun DhūñDe lafz raa.ij isti.āroñ se alag
dar ye dil kā khul gayā hai ḳhud-ba-ḳhud hī aaj kyuuñ
un kī nazroñ ne kiyā hai kuchh ishāroñ se alag
ab zamin-o-asman ke sab kinaron se alag
gaDh raha hun apni duniya in sitaron se alag
gard meri uD rahi hai chand-taron mein kahin
tarz us ne pai hai sab KHaksaron se alag
pattharon ko aaine mein qaid karne ka hunar
rah main ne ye nikali hai hazaron se alag
chand hi ab tum ko kah kar baat ko pura karun
kaun DhunDe lafz raij istiaron se alag
dar ye dil ka khul gaya hai KHud-ba-KHud hi aaj kyun
un ki nazron ne kiya hai kuchh ishaaron se alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.