ab zist mere imkan mein hai
ab ziist mire imkān meñ hai
vo lamha lamha dhyān meñ hai
kuchh phuul the vo bhī suukh ga.e
ik hasrat sī gul-dān meñ hai
ik tāntā soch ne bāñdhā thā
ab chehra raushan-dān meñ hai
dil Duubā pahle ġhurbat meñ
ab paanī kachche makān meñ hai
vo mārka-e-dil jiit ke bhī
phir tanhā dil maidān meñ hai
hai dushman mire ta.āqub meñ
aur āḳhirī tiir kamān meñ hai
ab zist mere imkan mein hai
wo lamha lamha dhyan mein hai
kuchh phul the wo bhi sukh gae
ek hasrat si gul-dan mein hai
ek tanta soch ne bandha tha
ab chehra raushan-dan mein hai
dil Duba pahle ghurbat mein
ab pani kachche makan mein hai
wo marka-e-dil jit ke bhi
phir tanha dil maidan mein hai
hai dushman mere taaqub mein
aur aaKHiri tir kaman mein hai
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 22.05.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.