ab zuleKHa hai yaqub ki aah mein
ab zuleḳhā hai yāqūb kī aah meñ
mere yūsuf kabhī tū dikhā.ī bhī de
ḳhāna dil se moḌeñ mahāreñ agar
tū mujhe apne ġham se rihā.ī bhī de
maiñ tamannā ko kaise likhūñ tīrgī
phir ye dil tīrgī kī duhā.ī bhī de
husn nazreñ jhukā.e hue rū-ba-rū
us tamāshe talak par rasā.ī bhī de
raat muddat se āñkhoñ meñ kaTtī hoī
aur chup ke darūñ se sunā.ī bhī de
ab zuleKHa hai yaqub ki aah mein
mere yusuf kabhi tu dikhai bhi de
KHana dil se moDen mahaaren agar
tu mujhe apne gham se rihai bhi de
main tamanna ko kaise likhun tirgi
phir ye dil tirgi ki duhai bhi de
husn nazren jhukae hue ru-ba-ru
us tamashe talak par rasai bhi de
raat muddat se aankhon mein kaTti hoi
aur chup ke darun se sunai bhi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.