abad tanha ajal tanha mile sab bahr-o-bar tanha
abad tanhā ajal tanhā mile sab bahr-o-bar tanhā
jahāñ tak ho sakā kartā rahā maiñ bhī safar tanhā
vo hī vo hai udhar tanhā maiñ hī maiñ huuñ idhar tanhā
ye tanhā.ī ajab shai hai ḳhudā tanhā bashar tanhā
basar kartā hai muddat se mire jaisā koī mujh meñ
use kah do chalā jaa.e mujhe vo chhoḌ kar tanhā
maiñ terī samt aa jā.ūñ ki jā.ūñ ġhair kī jānib
kashākash meñ huuñ uljhā darmiyān-e-ḳhair-o-shar tanhā
ye duniyā gaañv meñ badlī hue haiñ rābte āsāñ
magar is bhiiḌ meñ hotā gayā ik ik bashar tanhā
ye tanhā.ī ye ḳhāmoshī ye vīrānī ye añdhiyārā
isī mahfil meñ rahtā huuñ maiñ ab shām-o-sahar tanhā
khule haiñ raaz sab us ke haqīqat hai ayaañ lekin
ulajhtā hai na jaane kyoñ ḳhayāl-e-be-ḳhabar tanhā
abad tanha ajal tanha mile sab bahr-o-bar tanha
jahan tak ho saka karta raha main bhi safar tanha
wo hi wo hai udhar tanha main hi main hun idhar tanha
ye tanhai ajab shai hai KHuda tanha bashar tanha
basar karta hai muddat se mere jaisa koi mujh mein
use kah do chala jae mujhe wo chhoD kar tanha
main teri samt aa jaun ki jaun ghair ki jaanib
kashakash mein hun uljha darmiyan-e-KHair-o-shar tanha
ye duniya ganw mein badli hue hain rabte aasan
magar is bhiD mein hota gaya ek ek bashar tanha
ye tanhai ye KHamoshi ye virani ye andhiyara
isi mahfil mein rahta hun main ab sham-o-sahar tanha
khule hain raaz sab us ke haqiqat hai ayan lekin
ulajhta hai na jaane kyon KHayal-e-be-KHabar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.