abas abas tujhe mujhse hijab aata hai
abas abas tujhe mujh se hijāb aatā hai
tire liye koī ḳhāna-ḳharāb aatā hai
palak ke mārte hastī tamām hotī hai
abas ko bahr-e-adam se habāb aatā hai
ḳhudā hī jaane jalāyā hai kis sitamgar ne
jigar to chashm se ho kar kabāb aatā hai
shab-e-firāq meñ aksar maiñ le ke ā.īna
ye dekhtā huuñ ki āñkhoñ meñ ḳhvāb aatā hai
nazar karūñ huuñ to yaañ ḳhvāb kā ḳhayāl nahīñ
gire hai laḳht-e-jigar yā ki aab aatā hai
abas abas tujhe mujh se hijab aata hai
tere liye koi KHana-KHarab aata hai
palak ke marte hasti tamam hoti hai
abas ko bahr-e-adam se habab aata hai
KHuda hi jaane jalaya hai kis sitamgar ne
jigar to chashm se ho kar kabab aata hai
shab-e-firaq mein aksar main le ke aaina
ye dekhta hun ki aankhon mein KHwab aata hai
nazar karun hun to yan KHwab ka KHayal nahin
gire hai laKHt-e-jigar ya ki aab aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.