abas hai pesh-e-arbab-e-suKHan azm-e-suKHan mujhko
abas hai pesh-e-arbab-e-suKHan azm-e-suKHan mujhko
Abbas Ali Khan Bekhud
MORE BYAbbas Ali Khan Bekhud
'abas hai pesh-e-arbāb-e-suḳhan azm-e-suḳhan mujh ko
vafā kahne na degī qissa-e-ranj-o-mehan mujh ko
qafas meñ mil gayā hai in dinoñ kuchh lutf hī aisā
ki bhūle se nahīñ aatī kabhī yād-e-chaman mujh ko
ḳhizāñ kī āfateñ phirtī haiñ ab tak merī nazroñ meñ
bahār-e-chañd-roza kyā dikhātā hai chaman mujh ko
but-e-tarrār se jab shikva-e-bedād kartā huuñ
sunātā hai vo zālim sar-guzasht-e-kohkan mujh ko
vo hañs kar dekh lete haiñ jo kūche se guzartā huuñ
mubārakbād 'beḳhud' merā ye dīvāna-pan mujh ko
'abas hai pesh-e-arbab-e-suKHan azm-e-suKHan mujh ko
wafa kahne na degi qissa-e-ranj-o-mehan mujh ko
qafas mein mil gaya hai in dinon kuchh lutf hi aisa
ki bhule se nahin aati kabhi yaad-e-chaman mujh ko
KHizan ki aafaten phirti hain ab tak meri nazron mein
bahaar-e-chand-roza kya dikhata hai chaman mujh ko
but-e-tarrar se jab shikwa-e-bedad karta hun
sunata hai wo zalim sar-guzasht-e-kohkan mujh ko
wo hans kar dekh lete hain jo kuche se guzarta hun
mubarakbaad 'beKHud' mera ye diwana-pan mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.