abas hain naseha humse za-KHud-rafton ki tadbiren
abas haiñ nāsehā ham se za-ḳhud-raftoñ kī tadbīreñ
ruke hai bahr kab go mauj se hoñ laakh zanjīreñ
hamārī aah se aage to patthar aab hote the
pa kyā jaane vo ab kīdhar ga.iiñ naale kī tāsīreñ
ye ik sūrat hai gar khīñche vo mere yaar kā naqsha
maiñ kab ma.anoñ huuñ yuuñ maanī likhe gar laakh tasvīreñ
lagā.ī aag paanī meñ ye kis ke aks ne pyāre
ki ham-dīgar chalī haiñ mauj se dariyā meñ shamshīreñ
sunā hī maiñ na gosh-e-lutf se ahvāl ko mere
chhupī thiiñ varna ḳhāmoshī meñ apnī laakh taqrīreñ
rakhe hai hosh agar tū qasr kar tūl-e-imārat kā
ki is buniyād par kab tak karegā tū ye tāmīreñ
garebāñ kī to 'qā.em' muddatoñ dhajjiyeñ uḌaa.ī haiñ
pa ḳhātir jam.a us din hove jab siine ko ham chīreñ
abas hain naseha hum se za-KHud-rafton ki tadbiren
ruke hai bahr kab go mauj se hon lakh zanjiren
hamari aah se aage to patthar aab hote the
pa kya jaane wo ab kidhar gain nale ki tasiren
ye ek surat hai gar khinche wo mere yar ka naqsha
main kab manon hun yun mani likhe gar lakh taswiren
lagai aag pani mein ye kis ke aks ne pyare
ki ham-digar chali hain mauj se dariya mein shamshiren
suna hi main na gosh-e-lutf se ahwal ko mere
chhupi thin warna KHamoshi mein apni lakh taqriren
rakhe hai hosh agar tu qasr kar tul-e-imarat ka
ki is buniyaad par kab tak karega tu ye tamiren
gareban ki to 'qaem' muddaton dhajjiyen uDai hain
pa KHatir jama us din howe jab sine ko hum chiren
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.