abhi aae the abhi chal base marne wale
abhī aa.e the abhī chal base marne vaale
yuuñ safar karte haiñ duniyā se guzarne vaale
āfateñ Dhāte haiñ duniyā meñ sañvarne vaale
luuT lete haiñ zamāne ko nikharne vaale
sifat-e-bū-e-gul is bāġh-e-jahāñ se guzre
kyā subuk-dosh ga.e aap pe marne vaale
aap miT jaa.eñ magar rad na ho saa.il kā savāl
ham to haiñ qabr kā muñh ḳhaak se bharne vaale
naam se rāh-e-adam ke mujhe kyoñ vahshat hai
muñh dikhāte nahīñ dil le ke mukarne vaale
duur hī ghar haiñ ghar āñgan haiñ parī-zādoñ ke
āñkhoñ meñ phirte haiñ ye dil meñ utarne vaale
kashtī-e-umr kināre ke qarīb aa pahuñchī
bahr-e-hastī se haiñ ham paar utarne vaale
ḳhuub dekhī hai añdherī shab-e-ġham kī 'akbar'
ham nahīñ tīrgī-e-qabr se Darne vaale
abhi aae the abhi chal base marne wale
yun safar karte hain duniya se guzarne wale
aafaten Dhate hain duniya mein sanwarne wale
luT lete hain zamane ko nikharne wale
sifat-e-bu-e-gul is bagh-e-jahan se guzre
kya subuk-dosh gae aap pe marne wale
aap miT jaen magar rad na ho sail ka sawal
hum to hain qabr ka munh KHak se bharne wale
nam se rah-e-adam ke mujhe kyon wahshat hai
munh dikhate nahin dil le ke mukarne wale
dur hi ghar hain ghar aangan hain pari-zadon ke
aankhon mein phirte hain ye dil mein utarne wale
kashti-e-umr kinare ke qarib aa pahunchi
bahr-e-hasti se hain hum par utarne wale
KHub dekhi hai andheri shab-e-gham ki 'akbar'
hum nahin tirgi-e-qabr se Darne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.