abhi adhure hain git mere abhi adhuri si dastan hai
abhī adhūre haiñ giit mere abhī adhūrī sī dāstāñ hai
na chāñd niklā na taare damke na muskurātī vo kahkashāñ hai
abhī to hoñToñ pe aah sī hai bujhī bujhī kuchh nigāh sī hai
abhī to har-sū ḳhamoshiyāñ haiñ abhī to har-sū dhuāñ dhuāñ hai
abhī to rāhoñ meñ pech-o-ḳham haiñ ki hādse bhī qadam qadam haiñ
abhī to baaqī ka.ī sitam haiñ abhī to baaqī kuchh imtihāñ hai
abhī to qaus-e-quzah ke jaise haiñ ḳhvāb bunñe hasīn kitne
vo phuul bhī to abhī haiñ chunñe azal se jin kī mahak ravāñ hai
abhi adhure hain git mere abhi adhuri si dastan hai
na chand nikla na tare damke na muskuraati wo kahkashan hai
abhi to honTon pe aah si hai bujhi bujhi kuchh nigah si hai
abhi to har-su KHamoshiyan hain abhi to har-su dhuan dhuan hai
abhi to rahon mein pech-o-KHam hain ki hadse bhi qadam qadam hain
abhi to baqi kai sitam hain abhi to baqi kuchh imtihan hai
abhi to qaus-e-quzah ke jaise hain KHwab bunne hasin kitne
wo phul bhi to abhi hain chunne azal se jin ki mahak rawan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.