abhi apne muafiq hi nahin haalat waise bhi
abhī apne muāfiq hī nahīñ hālāt vaise bhī
vagarna ai sitamgar kyā tirī auqāt vaise bhī
nahīñ meñ haañ kā pahlū bhī nazar aatā to hai lekin
hamāre biich haa.il haiñ ka.ī ḳhadshāt vaise bhī
gila kartā bhī kyā ġhairoñ se un kī bevafā.ī kā
kahāñ kam haiñ mire apnoñ ke ehsānāt vaise bhī
kisī bhī samt se sūraj nikal aa.e to kyā hāsil
likhī hai apnī qismat meñ añdherī raat vaise bhī
pashemāñ kyoñ na ho āḳhir hasad vaale ‘ziyā-zaḳhmī'
ta.āruf kī kahāñ muhtāj terī zaat vaise bhī
abhi apne muafiq hi nahin haalat waise bhi
wagarna ai sitamgar kya teri auqat waise bhi
nahin mein han ka pahlu bhi nazar aata to hai lekin
hamare bich hail hain kai KHadshat waise bhi
gila karta bhi kya ghairon se un ki bewafai ka
kahan kam hain mere apnon ke ehsanat waise bhi
kisi bhi samt se suraj nikal aae to kya hasil
likhi hai apni qismat mein andheri raat waise bhi
pasheman kyon na ho aaKHir hasad wale ‘ziya-zaKHmi'
taaruf ki kahan muhtaj teri zat waise bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.