abhi baadalon ka safar kahan mere mehrban
abhī bādaloñ kā safar kahāñ mire mehrbāñ
abhī qaid huuñ sar-e-āshiyāñ mire mehrbāñ
rahe fāsle mirī dastaras meñ tamām din
magar ab to shaam kā hai samāñ mire mehrbāñ
sabhī pursish-e-ġham-e-jāñ ke vāste aa.e the
mire chārāgar mire nauha-ḳhvāñ mire mehrbāñ
vahī lafz haiñ durr-e-be-bahā mire vāste
jinheñ chhū ga.ī ho tirī zabāñ mire mehrbāñ
sabhī marhale rah-e-shauq ke the nigāh meñ
mire hausle rahe nā-tavāñ mire mehrbāñ
kabhī gardish-e-shab-o-roz se na amaañ milī
mire sar pe kab na thā āsmāñ mire mehrbāñ
abhi baadalon ka safar kahan mere mehrban
abhi qaid hun sar-e-ashiyan mere mehrban
rahe fasle meri dastaras mein tamam din
magar ab to sham ka hai saman mere mehrban
sabhi pursish-e-gham-e-jaan ke waste aae the
mere chaaragar mere nauha-KHwan mere mehrban
wahi lafz hain durr-e-be-baha mere waste
jinhen chhu gai ho teri zaban mere mehrban
sabhi marhale rah-e-shauq ke the nigah mein
mere hausle rahe na-tawan mere mehrban
kabhi gardish-e-shab-o-roz se na aman mili
mere sar pe kab na tha aasman mere mehrban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.